Tujhe jana hai to jaa..,
Ab mujhe unn na sata,
Har pal ki gustakhi se,
Ab bas darr sa lag raha.
Sab wahi hai yaha pe,
Tu, main aur sari hastiyan,
Lekin jasbaat aaj kal lag raha,
Bas badal sa hai gaya.
Koi fark na pade ab tujhe,
Bas gussa aur nafrat sa horaha,
Yaado mein jee kar thak chuki hu,
Ab akele jeene ki adat tu kar chala.
Reh kar har ehsaas jo the,
Woh sab kahi khogaya,
Har pal mein yaado ki adat jo hui,
Ab tu usme bhi kaha raha.
Ahatto mein rehti thi tere,
Tu kabhi ye samjh hi na paya,
Aur ab tune hi keh diya,
“Tujhe jaana hai to jaa”.